Sho’≈ï’sh Bar’bu≈ß-o-N√°y (II of IV)

Part I: Pehli Awaaz

Doosri Awaaz

Hastee ki mata’√°y bay payaaN, jaageer teri hai na meri hai
Iss baz’m meiN apni mash√°al-e-dil, bismil hai to kya, rukhshaaN hai to kya
Ab baz’m chiraghaaN rehti hai, ik taaq ager weeraaN hai to kya
Afsurda’h haiN ger ayaam terey, badlaa naheeN maslak-e-shaam-o-sahar
T’he’herney naheeN mausam-e-gul ke qad’m, qayem hai Jamaal-e-shums-o-qam’r
Abaad hai waadee ka kal-o-lub, shadaab-o-haseeN gulgash’t-e-naz’r
Maqsoom hai lazzat-e-dar’d-e-jiger, mojuud hai naymat-e-deed’ah ter
Iss deed’ah ter ka shuker kero, iss zoq-e-naz’r ka shuker kero
Iss shaam-o-sahar ka shuker kero, in shums-o-qam’r ka shuker kero

Comments would re-open in the fourth part.

Comments are closed.


Terms of use | Privacy Policy | Content: Creative Commons | Site and Design © 2009 | Metroblogging ® and Metblogs ® are registered trademarks of Bode Media, Inc.